Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.
by Alizai
This entry was posted
on Tuesday, December 5th, 2006 at 12:02 pm and is filed under Dard-e-Dil.
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed.
You can leave a response, or trackback from your own site.














3 comments so far
excellent
March 27th, 2007 at 4:06 am
kiya baat hai!!!!
baut khub likha appne, alizai!
May 6th, 2007 at 2:17 pm
wah! bahut koob!
dard se bhari ,badi kubsur kavita hain.
May 26th, 2007 at 6:32 am
Leave a Reply