Shikwa karoon bhi to kaisay karun
seh kar hazar gham ab zuban se kya ada karun
Khwahishon ki ab umeed kahan,
umeed ki khwahish bhi na kya karun.
Ukta gai hun dunya ke makr-o-fareb se,
ji chahta hai neki bhi na kiya karun.
Apnon ne jala diya aanchal apnepan ka,
ab ghairon se kya aas lagaya karoon.
Bachpan guzar gaya par na guzri woh nafrat,
ke nafrat bhi kahe kis se mohabat kiya karun
Bas kuch pal ki hai mulaqat, phir honge hum aazaad,
tum sab se dur jaenge, bas yehi dua kya karun.
by Aaisha Tabeer

Loading ...
Talkh RAAT Udaassi Bhari Woh ik Subhoo..
Talkh Raat Naa Woh Subhoo Men Bhulaa Paayaa..
Teraa Wajud Woh Rastta Woh Sham Kaa Manzar..
Nahi Ha Saath Mere Kuch Faqat Teraa Saayaa..
Kabhi Bhulaanne Ki Koshish Men AANKH Band Jo ki..
Bohat Haseen Baraa KHOOBROO Khayaal Aayaa..
Men tere Saath Nahi Gaa sakaa Kabhi Koi GEET..
Tere Baad Jo Gaayaa Baraa Mazaa Aaayaa..
Badal Ke Raastta Dekhaa Naa Paa sakaa Manzil..
Wahaan Wajood Thaa Teraa Naa Teraa Saayaa..
by Hafiz Muzaffar Mohsin

Loading ...
Raat bhi sari jaagtay huay guzri
Shab e gham mein shama jalatay huay guzri
Apni nakamiyon pay afsoos kartay huay
Aakhiyon say aaskh bahatay huay guzri
Ghamon say bharay es totay huay dil ko
Dukhon say apnay bhelatay huay guzri
Jo chor gaya tanha safar pay mujeh ko
Ausi ek bewafa ko bhulatay huay guzri
Woh na aaye gay phir laut kay yahan
Yeahi baat dil ko samjhatay huay guzri
Har lamha qayamat ki manand tehra
Har ghari maan ko tarpatay huay guzri
Khazan kay es phelay huay mausam mein
Saba bhi apni nazrein churatay huay guzri
Andheron nay apni dastaan sunayee mujeh ko
Roshni bhi apni kahani sunatay huay guzri
Kuch yaadon nay needein na aanay dein kuch
Ratjagon ki barish mein nahatay huay guzri
Kab ka bhula dia tha mein nay jeisay kal
Hawa bhi ausi geet ko gungunatay huay guzri
Khuwabon kay sahil pay teray naam ko
Kabhi likhtay tuo kabhi mitatay huay guzri
Nafrat aur pyaar ki kashmakash mein yeh zindagi
Kuch rotay guzri tuo kuch muskuratay huay guzri

Loading ...
shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
guzra kal tha peeche aaj humare saamne
hum kabhi to kharay thay
jaane kis kinaray
khafa huay tum zindigaani se hum haaray
is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
bheegi baarish main kharay tha
kaali raat ke thay nazaare
khamoshi k mahaul main tanhai ka silsila ajab tha
by Yawar

Loading ...
tumhe chaha tha is dil ne
aur chahta hai ye aaj bhi
chhupaya tha ye raaz pehle bhi
aur chhupa hua hai ye aaj bhi
kuch majboorio k waaste tumhe bekhabar rakha
aur majboorio ki zanjeer se hain bandhe hum aaj bhi
chhaha to nahi tha k tum bin zindagi guzre
par tumhare muskurate chehre ne qadam roke mere aaj bhi
yeh such sahi k bane thay tum jeene ki wajah
magar dekho kismat ka faisla nikla alag aaj bhi
bhoolenge shaayad tumhe dheere dheere sadiyo main hum
magar such poocho to lagti hai tumhari zaroorat is zindagi ko aaj bhi
by Yawar

Loading ...