Adh Khila GHULAAB Kaa Phool
Payaar Se Thamaayaa Jab
Naak Se Lagaayaa Jab..
Zindagi Haseen laggi..
Bohat dilnasheen laggi..
———————–
Adh Khilaa GHULAAB Mujhey.
De Ke Us Ne Farmaayaa..
Muft Yeh Nahi Aayaa..
De Ke Ik Pachaas Kaa Not..
Pehlle Mujh Ko Faarigh Kar..
Baad Mere Janne Ke..
Naak Se Lagaa Lenna..
Chaahhe Gar Teraa DIL..
Naak Men Ghusaa Lennaa..
ADH KHILAA GHULAAB KAA PHOOL.
by Hafiz Muzaffar Mohsin

Loading ...
Bangladesh ke hathon banayee gayee
Makkah ki bazaar me layee gayee
Ek subah Haram ke samnay karti thi intezar
Ke koee to milay ees nachiz ka kharidar
Aayee pasand topi sath ooskay roomal
Sauda huva pura de kar dus riyaal
Jahan Bhi gaya sir per bithaya mainay
Rishtay-e sir va topi nibhaya mainay
Aadmi ki tujh se huee qamat buland
Karta hy youn voh apnee khudi ko buland
Karti rahi ada youn to kirdar-e wafa
Aur ham neb hi diya sath karkay wafa
Aaj subh voh achanak rooth gayee
Aur sir se yaka yak voh ooth gayee
Thi sauton hawa, hamari dosti se khafa
Ooda kar topi, raftar se ho gayee dafa
Dekhta rah gaya voh gayee voh gayee
Sath gariyoun ki raftaar me aujhal ho gayee
Bahot kaha topi se tu kidhar jayegee
Dunya badi sungeen hy tu mar jayegee
Lekin hawa thi taiz san sana ti huyee
BadloN se panee barsatee huyee
Yeh topi thi jiska huva Bangladesh me janam
Yeh manzil thi topi ki khan sharoo kahan khatam
by Abdus Samad Shaikh

Loading ...
Agar mae(1956) main bees saal ka hota
To eis zamanay(2007) ka haal bataya hota
Dunya mae mairay nam ka charcha hota
Bush bhi mairay dar ka bhikari hota
Mainay apnay darwazay per darban bithaya hota
Her sham ko diya aur loban jalaya hota
Log kahaingay eik jawan baba aaya hae
Apnay sath eik jaduee chiragh laya hae
Jok der jok log aayaingay shifa panay ke liyae
Apnay karobar mae barkat o nafa panay ke liyae
Ladkiyan bhi aayainig humsafar panay ke liyae
Apnay khayalon ka hum-khayal panay ke liyae
Mujh per bhi kisi hasina ne doray dalay hotae
Apnee qatil nazron se jal mae phasaya hota
Bush ki chungal se taliban ko bachaya hota
Shahr-e baghdad ko bumbari se bachaya hota
Koi kahta mae apni biwi se aaya hun tung
Roz her bat per tayyar hae karnay ko jung
Baba mujhe koi tawiz do oos per ghalib aajavoon
Ya kisi dusari biwi ka talib ho javoon
Ghus leta hae darban bhi baba se milanay ke liyae
Voh bhi nim-baba bun gaya hae mal bananay keliyae
Yeh char din ki zindgi hae shab o roz ki ayyari
Zaroorat hae karlain hum aakhirat ki tayyari
Shaikh chodo yeh dunya kae jat’n
Na janae kahan hoga apna gor o kafan
by Abdus Samad Shaikh

Loading ...
Mein ho gaya hun over weight
Nikal aaya hy aagay mota pet
Rekha ke sath hy yarana mera
Sath ooskay hy aaj meri date
Mumbai ki chopati ki bhel puri khanay main
Main ho gaya tha zara late
Phir kiya puchna Rekha ka tej
Voh to karnay lagi mujh ko hate
Main kartee rahi tera wait!
or tu gaya mujh ko forget?
Hath ki rekha jaisi hun dubli patli
Mujhay lagay hy tera weight!!
Main na manoo tairi baat
Na kar tu mejhay sari choli bhet
Ab maan bhi ja na mar bullet
Mairi late per hun mein regret
Ham kholaingay apna gate
Vahan samnay hy maira flat
Milkar Manaingay apni date
Piyar or mohabbat se karaingay duet
Tu ho gaya hy over weight
Mujhay lagay hy taira weight
by Abdus Samad Shaikh

Loading ...
Kehtay hain mujh se karaeydaar key putter
karaya kiun dain hum hai thanedaar k puttter
Kurri guzerti hai qareeb se to martay hai seetiyan
Lagta hai k hain woh chokeedaar k putter
Yeh keh ker mujhay kurree k gher jane se rok diya
Kut chaartay hain bohat molvi abdul ghafar k putter
Poochi jo kisi ne mere baiton ki tadaad Majid
Ghalti se mix hauy bivi no.1 or chaar k putter
Poocha jo bivi ne baqi teen bivion k baiton ka
Main ne kaha woh to hain muhalaydaar k putter
by Majid Zulfiqar

Loading ...