Aaj mujh per yeh ajab kaifiiyat taa’ri hoi
Teri deed ki aas thi phir tujhe dekh ker kyun ruswaai hoi
beywafa tu hai mein jaanti thi hamesha se
teri beywafai per phir kyun mujhe hairaani hoi
nazrein bacha ker bhi na bach saki tujhse
meri nazarein pohanchi wahan jahan se teri aamad hoi
dil jo tuta mera mein kirchiyan na sambhaal pai
mere saamney meri dil ki khoob ruwai hoi
mujhe akailepan ki aysi aadat hoi kay
kisi kay aaney sey mere jeevan mein tanhai hoi…
by Dia

Loading ...
Dil kay kisi bhi koney mein jhaank lee jiye
Her taraf apki yaad basai beythey hein
Her sheesha tour dena chahtey hein hum
Her sheeshey mein ap hi ap dekhai deytey hein
Jab bhi baarish hoti hai yahan per
Apke sung guzerey un bheegtey paloun ko yaad kertey hein
Vo jag.Aain jahan chup chup kay mila kertey thay dono
Vo rastey ab hamein sadaain deytey hein
Jahan ki thi apne iqrar-e-muhabbat hamse
Vo jagah dekh ker dil hi mein zaar zaar rotey hein
Kash kay wohi daur laut aye kabhi
Aye zindagi! tujhe waisey hi hasee.n dekhna chahtey hein!
by Dia

Loading ...
Apni zulfein tujh pe jhatakkna chahti houn
Meri Her ada mein kitna piyar basaa hai dikhana chahti houn
Apni aankhoun se dhairoun ashhq baha ker
Teri ungliyoun ko gaaloun per mehsoos kerna chahti houn
Mein dil apna tourh kay
Tujhe her tukrey mein dekhna chahti houn
Apney laboun pe muskurahat la ker
Teri chahrey pe hassi dekhna chahti houn
Meri taqdeeer mein tu ho ya na ho
Tujhe apni manzil mein banana chahti houn
Khehtey hein khuda sey jo dil se maango ik din zaroor milta hai
Mein her dua mein tujhe maang ker apna pyar aazmana chahti houn.
by Dia

Loading ...
Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain
Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun
Meri Chahaat Ban Jaie Gi Afsana
Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray
Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun
Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay
Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana
Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay
Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan
Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri
Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun
Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien
Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun
by Fahim

Loading ...
ye tumne dastak dee ya maine darwaza khol diya,
ye tumne pyaar se baat ki ya maine dil de diya,
ye kis ne duaa mangee k maine tumhain pa liya,
ye kis ne naiki ki k mujhe ajar mil gaya,
ye tumne haath agay barhaya ya maine garehbaan khainch liya,
ye tumne kiya jadoo kar diya k maine tumhain apni ZINDAGI bana liya.
by Shabana

Loading ...