Shab-e-Gham

Raat bhi sari jaagtay huay guzri
Shab e gham mein shama jalatay huay guzri

Apni nakamiyon pay afsoos kartay huay
Aakhiyon say aaskh bahatay huay guzri

Ghamon say bharay es totay huay dil ko
Dukhon say apnay bhelatay huay guzri

Jo chor gaya tanha safar pay mujeh ko
Ausi ek bewafa ko bhulatay huay guzri

Woh na aaye gay phir laut kay yahan
Yeahi baat dil ko samjhatay huay guzri

Har lamha qayamat ki manand tehra
Har ghari maan ko tarpatay huay guzri

Khazan kay es phelay huay mausam mein
Saba bhi apni nazrein churatay huay guzri

Andheron nay apni dastaan sunayee mujeh ko
Roshni bhi apni kahani sunatay huay guzri

Kuch yaadon nay needein na aanay dein kuch
Ratjagon ki barish mein nahatay huay guzri

Kab ka bhula dia tha mein nay jeisay kal
Hawa bhi ausi geet ko gungunatay huay guzri

Khuwabon kay sahil pay teray naam ko
Kabhi likhtay tuo kabhi mitatay huay guzri

Nafrat aur pyaar ki kashmakash mein yeh zindagi
Kuch rotay guzri tuo kuch muskuratay huay guzri

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (6 votes, average: 4 out of 5)
Loading ... Loading ...

Rasta Badalna hai

Rasta Badalna hai
Patharon peh chalna hai
Zindagi key rastay per
Gir gae, Sabbhalna hai,
Badalo! Hato Peechhay,
Chand ko nikalna hai
Phool ko mehekna hai,
Lakdayon ko jalna hai
Hum to door jain gay
kis ko sath chalna hai

by Shahid Shahnawaz

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (4 votes, average: 4.25 out of 5)
Loading ... Loading ...

Jeenay ko sab jeetay hain

Jenay ko sub jetay hain
Her saya zukhmi
Jungle kay punshi
Chup kay keydi
Burbat kay nagmay
Dur ka sholay petay hain
Karnay ka jazbay
Roti kay keydi
Durya ka pani
Bhegi billi
Hur bill kay sunkh main rehtay hain
Jo khushki ki ghutri ko
Barish sumjay thay
Mo’onh kholay
Sub Aabi bhagay
Doray
Kush kut mary
Khush thak gray
Jo chultay gaya
Khaboon ki basti bastay hain
Jenay ko sub jetay hain

by Maqsood Hasni

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (6 votes, average: 3.33 out of 5)
Loading ... Loading ...