Shikwa karoon bhi to kaisay karun
seh kar hazar gham ab zuban se kya ada karun
Khwahishon ki ab umeed kahan,
umeed ki khwahish bhi na kya karun.
Ukta gai hun dunya ke makr-o-fareb se,
ji chahta hai neki bhi na kiya karun.
Apnon ne jala diya aanchal apnepan ka,
ab ghairon se kya aas lagaya karoon.
Bachpan guzar gaya par na guzri woh nafrat,
ke nafrat bhi kahe kis se mohabat kiya karun
Bas kuch pal ki hai mulaqat, phir honge hum aazaad,
tum sab se dur jaenge, bas yehi dua kya karun.
by Aaisha Tabeer

Loading ...
Talkh RAAT Udaassi Bhari Woh ik Subhoo..
Talkh Raat Naa Woh Subhoo Men Bhulaa Paayaa..
Teraa Wajud Woh Rastta Woh Sham Kaa Manzar..
Nahi Ha Saath Mere Kuch Faqat Teraa Saayaa..
Kabhi Bhulaanne Ki Koshish Men AANKH Band Jo ki..
Bohat Haseen Baraa KHOOBROO Khayaal Aayaa..
Men tere Saath Nahi Gaa sakaa Kabhi Koi GEET..
Tere Baad Jo Gaayaa Baraa Mazaa Aaayaa..
Badal Ke Raastta Dekhaa Naa Paa sakaa Manzil..
Wahaan Wajood Thaa Teraa Naa Teraa Saayaa..
by Hafiz Muzaffar Mohsin

Loading ...
Raat bhi sari jaagtay huay guzri
Shab e gham mein shama jalatay huay guzri
Apni nakamiyon pay afsoos kartay huay
Aakhiyon say aaskh bahatay huay guzri
Ghamon say bharay es totay huay dil ko
Dukhon say apnay bhelatay huay guzri
Jo chor gaya tanha safar pay mujeh ko
Ausi ek bewafa ko bhulatay huay guzri
Woh na aaye gay phir laut kay yahan
Yeahi baat dil ko samjhatay huay guzri
Har lamha qayamat ki manand tehra
Har ghari maan ko tarpatay huay guzri
Khazan kay es phelay huay mausam mein
Saba bhi apni nazrein churatay huay guzri
Andheron nay apni dastaan sunayee mujeh ko
Roshni bhi apni kahani sunatay huay guzri
Kuch yaadon nay needein na aanay dein kuch
Ratjagon ki barish mein nahatay huay guzri
Kab ka bhula dia tha mein nay jeisay kal
Hawa bhi ausi geet ko gungunatay huay guzri
Khuwabon kay sahil pay teray naam ko
Kabhi likhtay tuo kabhi mitatay huay guzri
Nafrat aur pyaar ki kashmakash mein yeh zindagi
Kuch rotay guzri tuo kuch muskuratay huay guzri

Loading ...
Adh Khila GHULAAB Kaa Phool
Payaar Se Thamaayaa Jab
Naak Se Lagaayaa Jab..
Zindagi Haseen laggi..
Bohat dilnasheen laggi..
———————–
Adh Khilaa GHULAAB Mujhey.
De Ke Us Ne Farmaayaa..
Muft Yeh Nahi Aayaa..
De Ke Ik Pachaas Kaa Not..
Pehlle Mujh Ko Faarigh Kar..
Baad Mere Janne Ke..
Naak Se Lagaa Lenna..
Chaahhe Gar Teraa DIL..
Naak Men Ghusaa Lennaa..
ADH KHILAA GHULAAB KAA PHOOL.
by Hafiz Muzaffar Mohsin

Loading ...
O Dewanay larkay!
zara thaam lay mera haath
kis ko dhoond raha hai?
mein doon gee na tera saath!
O Dewanay larkay!
mujhay karnay day mehsoos
tujh ko apnay andar
jab tu hoga udaas
mein banoo gee teri aaas!
O Dewanay larkay!
ik khawahish dil kee
jo tujhko hai batanee hee
jab tu marna chahay
mein wajh banoo teray jeenay kee!
Submitted by Huma Chishti

Loading ...